Blog Post ka on Page Seo Kaise kare
seo tips |
Namskar dosto kaise hai aap ummid karta hu aap achchhe honge . aaj ke is article me apko ek bahut hi important information dene wala hu. Agar apki website ya blog blogger ke platform par hai. Dosto kya apne Kabhi apni website ki health ko check kiya hai agar
to apko ek error jo 80% blogger unke blog par aata hai. Vo error hai .h1,h2,h3,.....h6 jo
bhi hai. Bahut common hai but bahut sochane wala question hai..
Sabse pahale aap ko bata du ki ye html tags h1,h2,h3,h4,.....h6 hai kis bimari ka name . kuchh friends to ise html tags se related error batate hai. Aur kahate hai ki ise fix nahi
kiya ja sakta hai. Lakin me iska bahut aasan si process me samajhaunga bas aap meri
is post me di gayi steps ko start se last tak dhayan se read kijiye uske bad apne blog
par sari steps ko apply kijiye. heading tags(h1,h2,h3....h6)
Is post me apko kon-kon se questions ka answer milega.
· Apki seo friendly post ko google first page par kyo nahi la pata hai ?
· Apki post jyada se jyada visitors tak kyo nahi pahuch rahi hai ?
· Kya apne post ka seo karte samay ek mistake ki hai ?
· h1,h2,h3.........h6 kya hota hai ?
· google search engine in 6 h factore par kaise kaam karta hai ?
· apki post 10 page ke baad bhi kyo google dikhayi nahi deti ?
· h factore error ko kaise find kare ?
· h1,h2,h3,h4,h5 aur h6 ke error ko kaise fix kare ?
dear friends agar apke bhi in question he to aap bane rahiye Hamari is post ke sath
me apko sabhi questions answer de raha hun.
Apki seo friendly post ko google first-page par kyo nahi la pata hai?
Answer- kya hota hai ki aaj har blogger apni post me high-density wale keywords ka use karte hai jisse same keyword ke beech mara mari rahati hai. Ab jiske post me 100% seo
ka use kiya hoga bo post jaldi rank karti hai aur vo articale ya psot google ya bing ke 1st page par 1st link ke roop me aa jati hai kyoki us blogger/website owner ne post ko 100% seo friendly banaya hai. Google hamesha hi high quality keyword ke anusar article ko
apne search lata hai.Jabki 99.99% 99.98%.99% seo wali post ko ek ke baad ek last me
lata hai
finally dosto ye h1,h2,h3,h4, h5,last h6 ye hamari post ki headings hoti jisme h1 sabse important hoti hai.
Apki post jyada se jyada visitors tak kyo nahi pahunti hai.
Dosto ye mene apko bataya he ki ye h fector kya hai . ye bhi bata diya hai ki ye headings ke name hai. Ab bataunga ki inka hamare post me kyo lagana jaroori hota
hai. Dosto jab ham koi post likhte hai to use ham alag-parts me likhate hai,aur aisa likhana bhi jaroori hai, google/bing ko aise post bahut pasand hai ya use jyada search lane ki kishish karta hai, ab apko ye to pata chal hi gaya hoga ki apki website par
jyada traffic kyo nahi aa pata hai.
Kya apne post ka seo karte samay ek mistake ki hai ?
Dosto agar apne blogger par post dali hai. Aur usme thik se seo kiya hai. Fir bhi post rank nahi kar pa rahi hai to iska karan me apko batata hu ki apne apni post me h1 heading dali nahi hai. To sayad aap mujhe pagal kahenge laki ye sach hai. Me apko batata hu. Jab aap post likh kar heading,sub-headings dal kar complete kare uske baad apko batata hu aap post ke html section me jaye ahu ctrl+f dabakar search box me h1 find kare jo apko poori html me nahi milega. Laga na sock. Ye galati karte hai aap aur india aur world ke 80% yahi galati karte hai. Jo me aaj se 3 month pahale kar chucka hun.but mene iske baare bing webmaster tool se pata kiya. But mujhe iska solution nahi mila . mene is h1,h2....h6 ki fix karne ki than li aur aur aaj full confidence ke sath apke liye post likh raha hun.
h1,h2,h3.........h6 kya hota hai ?
dosto ye h1 tag example h1,,2,h3,......h6 jo hamari post ke title hote hai . jinme se h1 bahut jaroori hai isme hamare main keywords hote hai aur ye h2,h3...h6 se badi hoti hai hai iske word bade hote hai google ke robots isi h1 me se apke keywords ko put-up karte hai. google isi html launguage ko hi samajhta hai. Aur ise baad hamari sub- heading hoti hai jisme hamara related keyword hota hai. Fir h3 aur chhoti hoti hai yaha bhi hamare keyword hote hai. Taki google ko pata chale ki apki post kis bare bata rahi hai. Isi prakar aap apni post inka use kare.
google search engine in 6 h factore par kaise kaam karta hai ?web of science h index
dosto googel ho bing ye hamesha h6 fectore par hi work karta hai jo blogger ise
achchhe karte hai to uska seo ka 60% kaam ho jata hai.but koi nahi karta hai.
Ye mene apko pahale hi bata diya hai ki h1,h2,h3,h4,h5,h6 ye post ki catagory wise heading hoti hai jime ham apne topic ke hisab se kaywords use karte hai.
apki post 10 page ke baad bhi kyo google me dikhayi nahi deti ?
dosto ye men apko bataya hai ki google robots ya analyze system apke main
heading (h1) ko dekhta hai. Ab problem ye aati hai wordpress meto ye h1se h6 tak
hota hai lakin blogger me h1 hota hi nahi to google apki post ko search me kaise
layega jisme koi heading hi nahi ho. Ab apke man me ye question aaya hoga ki ham
to title ko selecte karke heading me chang kar dete hai fir bhi google me hamari post show nahi ho pati hai. Jaisa ki mene apko bataya hai . ki apki blogger post me
h1 nahi hota ha use manually add karna hota hai.
Ek important bat aur bata du apne ye Dekha Hoga ki blogger ke platform par bani hui website jyada search me Nahi aati hai.usme errors bhi bahut aate jisme h1,h2,h3.....h6 error har blogger wali website me hi aata hai, wordpress wali website par nahi. Aur wordpress par bani hui website ya blog sabse jaldi rank karta hai. Aur blogger ka nahi. h factore error ko kaise find kare ?
iske liye apki bahut se tools mil jate hai jo apk sabhi errors ko abat dete hai, google me bhi hai pingdome, bing web master, ya aur bhi bahut sare tools hai. Ya aap website health checker kar bhi use kar sakte hai. h1,h2,h3,h4,h5 aur h6 ke errors ko kaise fix kare ? dosto ye solution only me apko blogger ke bata raha hu kyo ki ye aise errors
blogger ki websites par hi aate hai.
1. First aap apna blogger ka deshboard open kare.
2. Iske baad aap posts ko open kare kare
3. Ab jjis post ko me hh fector ki problem he use edit kare.
4. Ab apke samne apki post open ho chuki to apke samne 2 option honge
5. 1 compose 2 html to apko html par click karna hai
6. Ab post apke samne html format me dikhai degi jisme kahi click kare
7. To pke samne search box open hoga jaha aap h1 search karenge to kuchh bhi nahi milega to aap h2 find kare to vo open
ho jayega agar nahi ho to aap fir se compose par jaye aur line ko h1 me dalana chahate hai use
select kare aur heading me convert kare aur size normal font me hi rahane de CTRL+B se
bold kar le isi tarah se aap sub-headings bhi
bana le.
8. Important baat he image ko kabhi bhi heading na banaye.
9. Ab wapis html aaye aur ab h2 find kare to apki post ka title <h2/blogger me html errors ko kaise fix kare/ h2>
10. Ab apko kuch aisa dikhai dega jisme apko dono h2 ko h1 me change kar dena hai. Aur h3 ko h2 me ahu h4 ko h3 me isi tarah se apko apni sabhi heading aur sub-heading ko change kar dena hai. Aur last me update karke post ko publish kar de.
Dosto apko hamari ye post kaise lagi ye hame comment karke jaroor bataye. Aur
ha ek baat aur agar aap high quality dofollow back banana chahate hai to aap hame guest post likhe jo 100% uniq ho ham apki post ko bina kisi shart ke publish karenge.
Thanks
ReplyDeleteThanks anubhab bhai for visiting my blog.
DeleteBhai head section nhi aa raha 0.0/100 aa raha hai kaise fix kare html coding se
ReplyDeleteBhai aap mere whatsapp par screen shot do.
Delete9897874020
thanks for advance tricks
Deleteapne bahut hi achhi jankari di hai, mera bhi blog hai https://www.freehelptips.in
ReplyDeletebhai aapne blog ki post me h1 hadding dalna achhi tarah se sikha diya hai
ReplyDeleteab mujhe apse ek aur help chahiye aapne blog par konsi theme laga rakhi hai kya aapne ise khridha hai ya ise free me download kiya hai please hai download kiya hai to kha se kiya hai please mujhe iske bare me batao
bhai apke khe anusar maine haddings change kiye but seo check kiya to h1 hadding me kewal blog ko main title aa raha hai aisa kya
ReplyDeleteplease reply now
This comment has been removed by a blog administrator.
ReplyDeleteThis comment has been removed by a blog administrator.
ReplyDeleteHigh quality guest post
ReplyDelete