post content copy hone se bachaye
Type Here to Get Search Results !

post content copy hone se bachaye

Blog post ko chori hone se kaise roke


Good evening friends  kaise hai / dosto aaj mai apke liye bahut badhiya aur most importante post likh raha hau/ dosto kya hota hai hamare bahut  readers mujhe messge aur whatsapp karke ye questions karte ki sir ham apne man se aur mehanat se post likhate hai usme keywords bhi use karte hai but hamari post rank mai nahi aa rahi hai aisa kyo?

Log blog sabse jyada kyo bana rahe hai.


Dosto jab se logo ne youtube par  bahut se videos dekhe to un logo ne admob accounts bana liye aur applications ki help se un logo ne sahi galat tarike se earning start kar di fir bahut se logo ne VPN (virtul private network) ki help se bahut hi fast earnig karne lage but adsense ne unke account ko detect karke suspend kar diya. Logo ne dekha ki blog hi ek aisa safe platform jaha se unlimited online earning kar sakte hai to logo ne january 2018 se ab tak duniya me sabse jyada blog/website banaye hai kyoki blog google ki hi ek free service hai aur bahut hi aasan bhi hai uske liye jyada technical jjankari ki jaroot nahi hoti hai. aur jo log youtube par apna career nahi bana pate hai to bo log blog par hi kaam karna start kar dete hai.

Blog post/contant ko chhori kaise karte hai ?


Dosto sabse pahale me apko isi sawal ka answer deta hun aisa kyo hota hai. aur iske kya nuksan hote hai . dosto ham blog to 5 minuts ke andar bana lete hai but uske liye post ya meterial kaha se laye.  To iske liye naye blogger dusari websites sehigh rank ki  post ko copy karke usme toda bahut change kare use apne blog ya wordpress par paste kar dete hai. aur vo apki mehanat se likhi hui post ko chori kar lete hai  aur jald hi vo vo log apni website ko no.1 rank me la dete hai baise to ab google panda copyed contant ko search me nahi lane deta . fir bhi ye log bahut hi satir dimag hote vo google ko bhi dhokha dedete hai. aur apki  website ya blog  ko peechhe chhod dete hai aur unki website rank me aa jati hai aur hum log ye samjhte hai ki hamari post mai koi dam nahi hai aur kuchh din baad ham post dalna chhod dete hai .

Content ya post ki chori ko kaise roke 100% guarantee ke satha-:

Dear readers aaj se ap jo bhi post likhoge vo hamari is post ko poori tarahe read karne ke baad tension free hoke apni post likh sakoge kyoki aaj me apko jo trick batane ja raha hun. Vo bahut jyada use ki jane wali trick he use aaj duniya har dusra blogger aur website holder use karte hai. apko yaha me batata chalu mai khud bhi isi tarike ko use kar raha hu.
Karna kya hai apko
Friends sabse pahale apko apne blogger / wordpress ke deshboard me jana hai aur uske baad aap layout par click kare aur uske baad apko website ke sabhi eliments open ho jayenge unme se only add a gaget par click kare vaha par apke same ek list khul jayegi usme se html wala option choose karna hai to apke samne ek box open hoga uske baad apko hamari post me neeche ek box me html code diya hai use copy karna hai aur



iske baad apko apne blogger ke deshboard me jana hai vaha par layout ko select kijiye jo apko kuchh is tarah se dikhayi dega



onlyhindigk.blogspot.in


is par click karte hi apke samne ek new pop up windows open hogi vaha par apko ek bade dhyanse add a gadget par click karna hai dekhe ye picture

onlyhindigk.blogspot.in

yaha par click karte apke samne ek aur new popup ka box open hoga jisme se aapko only HTML/Java script choose karna hai . aap is screen shot me bhi dekh sakte hai. 

onlyhindigk.blogspot.in



HTML/Java script par click kare hi apke samne ek box open ho jayega is bpx me aap title dalano chaho to dal sakte ho nahi use khali chood sakte ho aue nechee ke bade box me apna jo code uper se copy kiya he use paste kar dijiye


onlyhindigk.blogspot.in


iske baad me niche left corner me save kar dijiye . yaha ek baat ka dhyan de ki jaise hi save par click karoge uske baad layout ki screen aayegi jaha sabse uper ki taraf save arrangement par click kar de aap dekhe ki ab koi bhi apki post ko copy nahi kar payega.

wordpress blog me content ko chori hone se kaise bachaye

yahi procedur ap word press par bhi kar sakte lakin uske liye apko is code ki jaroorat nahi hogi
aur wordpress ke content ki chori ko bahut asani se roka ja sakta hai. iske liye apko apne wp blog me ek pluin ko install kar lena hai jiska naam wp-copy protect ( protect your blogpost) . iske bad aap is plugin ko activate kar de
onlyhindigk.blogspot.in


itna karne ke baad apko apne wp(wordpress blog) deshboard me jana hai aur vaha par apko WP COPY PROTECT par click karna hai aur jo picture me settings he uske anusar aap tick kar le jaisa apko pasand kyoki usme bahut saare options jo apko pasand bo bhi kar sakte hai

onlyhindigk.blogspot.in


sabse last me save par click kar de. dosto lo ab ho gaya apka blog post safe.
apko meri ye post kaisi lagi aap mujhe comment karke jaroor bataye

thank you for visit my blog best of luck



Post a Comment

2 Comments
* Please Don't Spam Here. All the Comments are Reviewed by Admin.
  1. thanks sir for this artical

    ReplyDelete
  2. This comment has been removed by a blog administrator.

    ReplyDelete

हमें गेस्ट पोस्ट भेजने के लिए मेनूबार में गेस्ट पोस्ट नेब९नु पर जाये,

आपका आर्टिकल बिल्कुल orginal होना चाहिए
आर्टिकल कम से कम 1000 शब्दों का होना चाहिए
translated आर्टिकल को पब्लिश नहीं किया जायेगा
किसी ऑनलाइन माध्यम से generated आर्टिकल को स्वीकार नहीं किया जायेगा

Top Post Ad

mmmm

Ads Area