seo metatags kya hai
Type Here to Get Search Results !

mayhindi

seo metatags kya hai



seo metatags kya hai


keywords kya hai aur ye website ya youtube ke liye kyo jaroori hai?

good evening my dear friends , aaj hum ek bahut hi imprtante topic ki baat karne wale hai. dosto aap me se hazaro log aise hai jo bahut hi badhiya post likhte hai aur vo apni post se bahut se new readers ki help karna chahate hai but unki post google me rank nahi kar pati hai . ya fir yo kahr ki unki post logo tak nahi pahuch pati hai . 
doosre shabdo me  kahe to google ya bing, yahoo ke serch me nahi aati hai aati bhi hai to vo google ke 1st page par nahi aati hai . jise log nahi padh pate hai , kabhi aapne ye socha hai ki aapki post isni achchhi hone par bhi 1 st page me show kyo nahi ho rahi hai. 
dosto google kisi bhi 1 word ko type kane par usse related bahut si post hamari screen par la deta hai. aisa kyo?
aaj me apko batata hu ki aisa kyo hota hai. dosto google/bing ek super computer hota hai aise lakho super computers lage hote jisme jisme har word se related posts,website save hoti hai , darasal google kisi particular word ko anlize karke hamare samane result lata hai.
agar aap beginner{new} hai to ye post aapke liye bahut hi helpfull hone wali hai.

what is keywords


dosto keywords kya hai aur ye seo yani search engine optimization ke liye kyo jaroori hai yahi batane bale hai aap hamari posr ko poora padhe.
hamare new bloggers he jo bahut saari post likh dete he but bo search me nahi aati hai ye galati jyadatar new blogger karte hai kyoki google kisi particular word se related post ya web site ko hi hamare samane lata hai, ab aap sochenge ki ye kwywors hai kya cheez . dosto mana aap aap ne google koi word type kiya for example -- make a free website to to google isi words se ko analize karke search result hamare samane layega . problem aati hai ki ham keywords kaha se search kare aur unka kaha par use kare to aap hamare sath is post me bane rahiye me yaha aapko poori jankari dunga. ek baar aur ek peragraph ya ek sentense ko keyword nahi kah sakte . hamara keyword bo hota hai jis topic par hum koi post likhte hai for example meri is post ka title hai "keywords kya hai its use for website rank" ye poori line mera keyword nahi hai balki isme ek uniqe word "keywords" hi mera main keyword hai jis par me apnki post likh raha hun. ab is word ko me kai keyword planner se recharch karke alag-alag tarike se apni post me use karoonga taki google meri post ko har keyword search kiye jane par 1st page par laye.

keyword ka use kaha par kare ?

onlyhindigk.blogspot.in

friends apko me ek bahut hi important baat batata hu mene bhi bahut se keywords se related post read kiye to mujhe pata chala un blogger ne apko poori jankari nahi batai hai , ki kisi keyword ka ek post me kitni baar use kiya . google ki policy ke anusar ham 1 post me 3 se 4 hi keywords ka use kar sakte hai. jyada keywords hamari post ko google ki nazar me ek robotis post man leta hai kyoki bo post har keyword search karne par samane aa jati hai. google us post ko ignor kar deta hai ya fir search se nikal deta hai.
dosto kuchh high quality ke keywords ko apne meta tag me bhi use karna chahiye . iske baad kuchh keyword post ke discription me bhi use kare . aur post ki link me apka main keyword jaroor aana chahiye.



meta discription me bhi apka keyword hona chahiye. bahut se new blogger aisa karte hai ki bahut hi high renking walw kwywords meta discription, post ke title me karte hai.lakin unki post hoti kuch alag hi topic par isse readers apki post ko chhod jaate hai. mera exprience hai . jo keywords apne apne meta discription me use kiye uhi par apki post bhi hoto apko bahut achchhi traffic milegi jaise mujhe milne lagi hai. 
seo ki policy ke anusar hum 400 se 500 words ke baad hi 1 keywords ka use kare to humko result bahut hi positive milenge. aur seo friendly article likh rahe ho to aapko bahut hi soch - samajh kar keywords ka use karna chahiye . jo apke website ko bahut jaldi 1st rank me la dega.
dosto google par kisi post ya website ko 1st page par lane ka kaam koi insaan nahi karta hai baliki hazaro super computers karte hai.
agar aap janana chahate ho ki apki website ki rank kya hai aap is SEMrush website par  apna url dalke dekh sakte hai click here

keywords kitne type ke hote hai?

onlyhindigk.blogspot.in

friends ab aap ye to jaan gaye hone ki keyword kya hota hai aur ek new blogger ke liye inki kitani jaroorat hai . ab mai aapko keywords ke types [ prakar] ke bare me bataunga.
dosto keywords 3 type ke hote jinka hamari har post me apna -apna roll hota hai.

  • Long tail keywords-
Ab aap ye soch rahe honge honge ki ye long tail keywords kya hota hai .to me apko batata hu.eise keywords Linki lenth 3 se 4 words se jyada  hoti hai jo hamare 3-4 keywords ko ek saath use karta hai aur google koi ye policy he ki hum apni post me 5-6 keywords se jyada use nahi kar sakte hai. to aise me ye long keywords hi use kiye jaate hai. ek baat aur duniya ke bade - bade blogger long keywords ko hi use karte hai kyoki long keywords ki madad se hamare short keywords ki rank me aane ke chance jyada rahate hai.


  • For Example- how can earn money online in blogging. ab is long tail keyword me hamare short keyword bhi shamil hote jisse in earn money, online money , blogging  ye sab ek-ek short keywords he jab inka alag -alag use karene to hamari post me keywords ki bheed ho jayegi jo google ko bilkul bhi pasand nahi hai.
  • mediam tail keywords-
aise keyword me 3 se 6 word hote hai ye bhi bahut kaam ke hote hai
  • short tail keywords-
dosto ye keyword 1 se 3 word ka hota hai. ye jyada long nahi hote hai isliye inko short tail keywords bola jata hai.For Example- paytm, free paytm, win free iphone, ye short tail keyword hai. isliye mera sujhab mane to aap sapse pahale long tail keywords use jyada karne chahiye long tail keywords ko google 1 hi keywords manata hai.

LSI Keywords.
    Dosto iska matalab hota hai- Latent sementic Indexing . iska use hai kaya fayada ya nukshan hai.
    dosto iske jariye hum ye pata laga sakte hai ki hamare keyword aur content [post] ke beech kya relation hai. kyoki kabhi-kabhi new blogger bahut high quility ke words use karte hai. lakin dosto mai yaha apko bataunga aap aisa kabhi na kare kyoki hau jab hum kisi post me common word ko baar-baar use karte hai to google indexing ke samay use ek keyword manata hai. aur ye phrase stuffing [bharana] ka pata lagane ke kaam aata hai.
    LSI apke post ya page ke title se milte julte har word ko dhunta hai. aur hum alag-alag jagah par aise words use karke google crowler ko buddhu[ fool ] nahi bana sakte hai.


    KEYWORDS DENSITY- 


      onlyhindigk.blogspot.in

      dosto ye hamari post ya page ke hisab se kisi words ka density [ घनत्व] hota hai. agar hum page ki lenth ke hisab jyada keyword use karenge to google use page ko search me nahi aane dega ,
      hisi post ya page me kitne keywords use karne chahiye to dosto agar apki post 1000 words ki hai aur usme 30 phresha hai to apka density lagbhag 3% hoga jo ek achchhe seo ke liye bahut hi badhiya density hai baise dosto meri mane to aapko 300 words par 1 keyword ka use kare to achchha hoga. ya fir aap apni post me 3% se jyada kisi word use na kare. aur apko main keyword ko focus rakhoge to apki post utni hi jaldi rank me aa jayegi. aur aapka jo main target readers ko jo jankari dena chahate to bo achchhe se de payenge. aur readers bhi apse jud jayenge.

      keywords ka use kon-kon si jagah karna chahiye

      friends hame apne keywords ka ek nishchit jagah par hi use karna chahiye . taki apke k.words bekar na jaye

      1. sabse pahale apne main keyword ki post ke title me use kare.
      2. iske baad 1st pheragraph me use kare ya fir phera ki heading me use kare.
      3. image ke properties me bhi 1 keyword use kare.
      4. aur apke har phera me 1 k.word use karna chaiye.

      Apni post ke liye keywords kaha se research kare

      dosto mai yaha par kuchh keywords plan karne free online website ki link de raha hu jo apki website ke liye behatar sabit honge. sabse pahale me apko google keyword planner ki link de raha hu
       dusra hau bing keyword planner jiski link neeche hai

      bing keyword tool

      tisra key planner ye hai

      Keyword tool

      iske alawa aur bhi keyword tool jinki help se aap apni website ki grow karpayenge




      dosto agar apko meri ye post help full lagi hoto please share aur subcribe and comment karna na bhoole.


      Tags

      Post a Comment

      0 Comments
      * Please Don't Spam Here. All the Comments are Reviewed by Admin.

      Top Post Ad

      mmmm

      Ads Area