stop and remove spam gmail from inbox
how to block spam emails
Ager aap bhi apne Gmail Account mai unwanted emails ko lekar paresan hai to ye Postaap hi ke liye hai. Aaj mai aapko ‘Gmail Account Se Unwanted Emails unsubscribe Kaise kare’ ki complete details dene ja raha hu. Ager aap apni Gmail Id se Unwanted Emails ko Unsubscribe karna chahte hai to
aapko ye post jarur padni chahiye.
Kabhi Kabhi aap kisi Discount coupan, Free Recharge, Ebook,spam and dirty emails Other Offers etc related email subscriptions ko subscribe kar lete hai. Kuch time baad aapke Gmail Account par in sabhi site se Junk Emails send hone lagte hai jo aapko irritate kar sakte hai.
Aap in Junk Emails se picha chudana chahte hai par aapko Unwanted Emails Unsubscribe ki complete details na hone ke karan aap in sabhi emails ko Unsubscribe nahi kar pate.
Ager aap in sabhi Emails ko unsubscribe karna chahte hai to aap Gyanimaster Team ke bataye gaye sabhi step ko follow kare. Ager aapne in sabhi step ko ache se follow kiya to aap aasani se Unwanted Emails Unsubscribe kar sakte hai to bane rahiye hamare sath
Gmail Unwanted Email Unsubscribe Tips
Ager aapki bhi Gmail id mai unwanted email aate hai to aap in tips ko follow kar Unwanted Email ko Unsubscribe kar sakte hai. kayi baar apne deka hoga bahut se unwanted email ko unsubscribe karne ka link diya jata hai. Aap is pic mai dek kar ache se samaj jaye ge.
Par har service mai is type ka link nahi show hota jiska use kar aap easily email unsubscribekar sakte hai. Par aaj mai aapko kuch essi Tips& Tricks batane ja raha hu jinka use kar aap un sabhi unwanted emails ko bhi unsubscribe kar sakte hai jinka unsubscribe link show nahi hota.
Unroll.me : Unwanted Email Newsletters Free Website
Unroll.me ek Free website hai jiska use kar ham Unwanted aur spam Email ko Unsubscribe kar sakte hai. Unroll.me site aapke Gmail Account ke sath connect ho jati hai or aapke dwara kiye gaye sabhi Subscribe Newsletter ko show karti hai jinke sath aap connect hai or aap easily Unroll.me ka use kar Unwanted Email Newsletter ko Unsubscribe kar sakte ho.
Unroll.me ka Use kar Unwanted Email Unsubscribe kaise kare
Unroll.me par jaye or Get Started Now par click kare
ü Get Started Now par click karne ke baad aap Sign up kare
ü Sign up karne ke baad aap Unroll.me aapke Gmail Account ko access karne ke liye Authenticate ke liye puchega.
ü Authenticate par ok karne ke baad aapka Inbox Scan hona suru ho jayega.
ü Jab Scan complete ho jayegi to aap ‘Continue to Next Step’ par click kare
ü Ab jo page open hoga usme aapke subscribe kiye gaye sabhi Emails Newsletter ki list show hogi
ü Aap is list mai diye gaye unsubscribe button ka use kar easily Unwanted Email Unsubscribe kar sakte hai. ya Rollup mai bhi add kar sakte hai.
Aap har ek news letter ko dek kar hi unsubscribe kare kyuki ye jo list show hoti hai isme useful newsletter Jaise paypal,paytm,Linkdin etc ki list bhi hoti hai kahi aapne galti se inme se kisi Email Subscribe ko Unsubscribe kar diya to aapke important email bhi show hona band ho sakte hai.
Yadi apko https://onlyhindigk.blogspot.in ka ye post acha laga hai to aap Please is post ko jarur share kare or apne Friend ko bhi ‘Gmail Account se Unwanted emails Unsubscribe kaise kare’ ki jankari de or Hamse judne ke liye aap Email Newsletter par subscribe kare. Aap Facebook page, Twitter, Google + se bhi hamse Connect ho sakte hai.
Post a Comment
0 Comments