festival of india
Type Here to Get Search Results !

mayhindi

festival of india

festival of india

My all Friends Happy diwali , diwali is agreat festival in india .
dosto diwali bharat ka ek bahut hi bada festival hai ise log bade aanand se manate hai , ise dipawali aur dopon ka tyohar bhi kahate hai . is is tyohar ki bhi badi hi dharmik manyata hai purano ke anusar is din mata devi laxmi ji upasana karte hai . dukandar apne bahi, khatauni , khato
ko badalte hai , aur gharo me mata bahine gharon ki saf - safai karti hai , aur rango se putai bhi karti hai , easi manyta hai ki is din laxmi ji ki kripa hoti to logo ko kabhi bhi dhan ki kami nahi hoti hai.
bhartiy shastron ki mane to is din bhagwan shri ram lankapati rawan ka badh karke 14 barshon bad ayodhya vapis aaye the unhi kismrti me hum ye tyohar manate hai is din ayoddhya ko deepakon poori tarah se saja diya gaya tha . diwali festival
ab baat karte hai rawan ki rawan brahman vansh ka raja tha jo rakshash prajati katha vo bahut hi sakti shali tha , usne sbhi rajaon aur devataon ko parajit kar liya tha usne mrityu ko bhi apna bandi bana liya tha.diwali festival

diwali festival essay


vah prithvi par utpaat machane laga , isse paresan hokar devatao, aur manushyon se bhagawan vishnu ke pass jakar prarthana ki ki vo rawan ke atank se mukti dilwayen to bhagawan dipawali
vishnu neunse kaha ki vo raja darashath ke yahan janm lenge . tab vo manushya ke roop me leela karenge . fir kuchh samay ke baad raam ne janm liya . 4 bhai the vo 1- ram, 2- bharat, 3- laxman, 4- shatrughn aadi. kusamay baad vo kuch bade huye aur viddhya grahan karne ke liye bashishth ke aashram me gaye vahan se padhane ke baad . vo apne rajya me vapis aa gaye . iske baad ek muni aaye aur raja dasharath se nivedan kiya ki vi ram aur laxman ko unke saath jagangal bhej de kyonki kuchh rakshas unke yagyao ko nasht kar dete he .to ram un rishi ke sath jangal me gaye unhone anek rakshson ka badh kiya aur van me shanti ki sthapana ki. iske baad vo rishi ke sath janakpuri me seeta ke swayamvar me aaye . aur bhagavan shiv ke dhanush ko tod diya ram vivah .dipawali aur seeta ke sath unka vivah ho gaya .

why is diwali celebrated

vo ayoddhya aaye iske baad samay ne apni tedi chal chalana prarambh kar diya . kaikeyi jo jo raja dharash ki sabse chhoto patni thi usko usi ki ke kutil dasi ne bhadkana shuru kar diya ki uske putra bharat ko raam ka sevak banke rahana padega to uski baato me kar rani ne raja dashrath se 2 vachan mang liye jo nimn prakar se hai ,1- ram ko 14 saal ka vanwas, 2- aur bharat ko rajsinhasan.
raja ne davab me aake dono vachan de diye aur apne pran tyag diye , ram van ko chale gaye.
iske baad ram ne panchvati me apna aashram banaya . aur vahan rahane lage .kuchh samay baad rawan ki chhoti bahin shurpnkha apna roop badal ke [ kyoki vo bahut hi mayavi thi ] aaye aur apni shadi ka prastav rakha ram ne use laxman ke pass bheja to laxman ne uski naak [nose ] ko kaat diya to vo roti hui apna bhai khar aur doshan ke pass aayi vo uddh ke liye aaye to bhagwan ran ne unko maar dala . iske baad shoorpnakha rawan ke pass gayi aur usne ram ki patni seeta ka bakhan kiya to rawan kam ke vashibhoot hakar . seeta ka apharan karne panchwati aaya aur apna bhesh badal kar seeta ko apraharn karke le aaya .

diwali speech in english

aur seeta ko usne lanka ki ashok vatika me rakshasiyo ki dekhrekh me rakh diya
iske baad ram seeta ko khojate huye dar dar bhatak rahe tabhi unki mulakat HANUMA se hui . hanumaan unhe sugreev ke pass laye aur dono ki mitrata ho gayi . fir vob seeta ko khojate huye huye samudra ke kinare aaye vaha par sampati naam ek giddh ne bataya ki seeta ko rawan lanka le gaya hai. to hanuman ne ek chhalang se samudra ko paar karke lanka me pravesh kiya . sseta ko khoj kar liya fir rawan ek putra akshya ko maar dala fir indrajeet ne hanuman ko brahamashtra se bandh kar rawan ki sabha le gaya . vahan par rawan ne hanuman ji poonchh me aag lagwa di to fir kya tha hanuman ne apni jalti hui poonchh se rawan ki samast lanka nagari ko jala dala . aur mata seeta se anumati lekar ram ke apss vapis aaye aur seeta ji sara haal kah sunaya . fir ram dakshini bharat ke rameswaram me aaye aur setu kanirman karke 5 din me lanka pahunche fir rawan se yuddh hua. rawan ke sabhi rakshas mare gaye . indrjeet bhi mara gaya. last me rawan se yuddh hua .tha rawan ko bhi maar diya . iske baad ram ne vibhishan ko lanka ka rajya shonp ke ayoddhya ki aur chale to ram ke swagat me sabhi taraf sajawat ki gayi. usi din de hamare bharat me ye dipawali ka tyohar bade hi dhoom dham se sabhi dharmon ke log manate hai.

diwali 2018 india


dosto meri post aapko kais lagi comment karke hame jaroor bataye aur apne dosto ko bhi hamare bare bataye hamari website ko suscribr karna na bhoole

Post a Comment

0 Comments
* Please Don't Spam Here. All the Comments are Reviewed by Admin.

Top Post Ad

mmmm

Ads Area