वेबसाइट का ट्रैफिक कैसे बढ़ाएं
Type Here to Get Search Results !

mayhindi

वेबसाइट का ट्रैफिक कैसे बढ़ाएं

                    HOW CAN INCREASE BLOG READERS

Jab bhi aapko koi naya blog banate hai toh aapka maksad bas ek hi hota hai ki kaise aap apne blog ka traffic bada sakte hai aur zaada se zaada earning kar satke hai.Kyuki aaj kal zaadatar bloggers ka maksad bas yahi hai ki knowledge dene ke sath sath kuch earning bhi hoti rahe toh accha hai, lekin sabse bada question ye hai ki hum apne blog par traffic kaise
bada sakte hai ? Kyuki agar traffic nhi badega toh humari income par iska bhut parbhaav padega. Iske liye aapko chahiye ki aap apni blog post ko knowledgeable banane ke sath sath reader friendly bhi banaye, jisse ki zaada se zaada reader aapki post ko share karke, apne friends ko iska benefit de sake.  Yaha mai aapko kuch sawaal puchna chahta hu.
Kya aap daily blog content publish karte ho ya likhte ho
Kya aapke blog content aapke readers ko impress karte hai ? ( Jo wo aapko conversation ke dauraan batate hai )
Bhut se blogger blog content ko roazana likhte aur publish karte hai. Yadi aap blogging me apna career banana chahte hai toh aapko chahiye ki aap regular basis par quality content likhte rahe.
aap padh rahe hai www.samsyakasamadhan.blogspot.in Lekin, yaha par problem ye hai ki jab daily hazaro blog ban rahe hai aur un par content publish ho rahe hai, toh hum kaise unke beech apne blog ko ek stand out situation me rakh kar, apni blog post ka impression apne reader par daal sakte hai ?
Toh in sabke liye hi hum aapko kuch aise tips dena chahte hai, jinko apply karke aap, apne readers ka mind make up kar sakte hai.
Yaha bhi choice aapki hai, ki ya sab karna hai ya nhi.

1- Post ke sath emotionally attachment :

Emotional attachment kisi bhi kaam me accha hota hai, especially online duniya me toh iska role bhut hi badiya hai. Ye apne blog ke readers ko impress karne ke sabse asaan tariko me se ek hai.
Content ko is tarike se likhiye ki, reader usse emotionally attach ho jaaye.
Ab aapke mann me me ye sawaal aa raha hoga ki unko kaise pata chale ki ye post unke liye hi hai ?
Ya phir aap unko kaise post ke sath emotionally attach kar sakte hai ? aap padh rahe hai www.samsyakasamadhan.blogspot.in
Yadi aap aisa karne ke baare me soch rahe hai toh aapko apne readers ko aisa feel karna hoga ki wo apne ghar me bathie hue kisi bhi acchi cheez ka maza le rahe hai.

Lekin iska ye matab nhi hai ki aap unko prshaan kar rahe hai

Aapko kabhi bhi unko kisi bhi galt tarike se apna article padne ke liye force nhi kar sakte hai.

2- Readers ko kam se kam ek acchi baat zaroor bataye :

Jab bhi kisi topic ke baare me likhe toh, usko poori depth ke sath likhe, ya bhi ek tarika hai jisse aapke reader impress ho sakte hai – kisi bhi post ko likhte samye, jis topic ke baare me aap likh rahe hai, reader ko uski full value milni chahiye.
Iske liye aap post ko ek definitive guide ke roop me bhi likh sakte hai.

Lekin ek definitive guide ko likhna ek itna asaan kam nhi hai, iske liye bhut time aur effort chahiye hota hai.

Har kisi topic ke baare me aap ek guide nhi likh sakte, uske liye aapko sahi topic ka bhi chunaav karna hota hai.Lekin ye bhi sahi hai ki aap apne blog ki sabhi posts se readers ko impress kar sakte ho.
Yaha aapko is baat ka dhyaan rakne ki zarurat hai ki aapki post me kam se kam reader ki matlab ki 2-3 tips toh honi hi chahiyejisko ki wo apply karke apni problem se chutkara pa sake.
Ek useful tips, 100 cheeze karne se behtar hai. wo usse zaada kuch aspect bhi nhi karte.
Agar aap unko apni blog post ke through 2-3 useful tips dete ho, toh wo unko apni problem ke solution ke liye zaroor apply karege, aur yadi unko iske positive result  milte hai toh isse behtar unke liye kuch ho hi nhi sakta.

3 - Unko ek wajah de, kyoki wo aapki blog post ko padhe :

Kabhi – kabhi aapke sabhi readers ko kuch karne ke liye ek “spark” ki zarurat hoti hai. Ye chingaari unki kuch bhi nayi cheez ko start karne me bhut help karti hai, wo bhi tab jab wo bilkul hi nirash ho chuke hote hai.
Ho sakta hai ki, aapke readers ko ye na pta ho ki ek badiya blog post ko kaise likha jaata hai, ya phir youtube videos ko kaise optimize kiya jaata hai, unko ye bhi nhi pta.Ho sakta hai ki, unko ye na pta ho ki kisi bhi product ko launch karne samaye kin kin baato ka dhyaan rakhna chahiye; ya phir email list ko zaldi build kaise karte hai ? aap padh rahe hai www.samsyakasamadhan.blogspot.in Ye sab kuch wo khud hi kar sakte hai, lekin unko zarurat hai toh sirf ek kick start ki, motivation ki. Jo aapko unko apni success story aur case study share karke de sakte ho, isse unko wo motivation milta hai, jisse ki wo apne kaam ko start kar sake.

Headline promise ko poora kare :

Isse zaada kuch impressive nhi ho sakta ki, aap unko usse badkar de jo ki wo expect kar rahe hai. Jab bhi aap apni blog post me ek average reader ki expectation se zaada usko jo bhi dege wo usse zaldi impress hoga, isliye hi unko impress karna bhut asaan hai.Aamtor par jab bhi aap kisi ka bhala karte hai, toh wo bhi aapka bhala hi karta hai. Ye ek udaarwadi niti hai. Kyuki aap ye jaate hai ki content marketing SEO ki hi ek stable form hai. ( aur isko search engine bhi effect nhi kar sakte)
Jab bhi aap apni blog post me kuch nayi cheez dete hai toh wo lenth me itni lambi nhi honi chahiye, jitni ki quality me acchi ho)
Blog post likhte samye is baat ko lekar bhi sure ho ki aapke blog post ki headline me kya promise kiya hai ? 
Jab bhi aap kisi bhi blog content ka ek paragraph complete kare, toh thodi der ke liye usko re-check zaroor kare, wo bhi us view se ki aap reader hai, aur ye dekhe ki jo aapne promise kiya hai, usi ke baare me aapne likha hai ya nhi .
 aap padh rahe hai www.samsyakasamadhan.blogspot.in
Agar aapko lag raha hai ki ya sab sahi se ho gaya hai toh aap kuch aise surprise element post me daal sakte hai, jaise ki cake ke uper carry laga di jaati hai.
Aisa aap vidoes, additional tutorial, ya phir pdf download ka link dekar kar sakte hai, jisse readers ka internest aapke blog me badta hai.
Kabhi kabhi aisa karna aapki post ko next level par le ja sakta hai aur yahi ek baat hai jo aapko dusre blogger se alag banati hai.
Yaha maine aapko kuch aise tips ke baare me bataya hai jisko apply karke aap apne blog readers ko impress kar sakte ho.
Aisa karne se aapke blog par traffic bhut bad jaata hai, yaha hum aapna khud ka experience share kar rahe hai.


Post a Comment

0 Comments
* Please Don't Spam Here. All the Comments are Reviewed by Admin.

Top Post Ad

mmmm

Ads Area