Jab kabhi aap bank se online transaction karte hai, ya phir aapko kahi par bhi online paise bejne ya mangane hote hai toh sabse phele aapko bank ka ifsc code ya phir swift code chahiye hote hai aur kabhi kabhi toh ye dono code hi mandatory ho jaate hai.
Pehle jab kabhi bhi hume IFSC code ki zarurat hoti thi toh, bank ke chakker lagane hote thy.
Lekin aaj ke time me ye sab bas thode se effort se mumkin ho gaya hai, online aaj kal aap kisi bhi cheez ke baare me jaan sakte hai. Aur logo ko uski jaankari bhi de sakte hai. Toh chaliye shuru karte hai.
IFSC Code kya hai ?
IFSC ( Indian Financial System code ) ek unique code hai , jo RBI ( Reserve Bank of India ) dwara sabhi banks ko diya jaata hai. IFSC code ka use Internet Banking, Wire Transfer, Online Payment, Fast Payment, Foreign Money Transfer jaise transaction is code ke bina nhi kiye ja sakte.
Ye 11 Number ka alpha numeric character ka hota hai, jisme first 4 character bank ko represent karte hai, 5th character zero aur Last ke 6 character branch ko represent karte hai.
IFSC code pata karne ke liye sabse pehle aapko www.ifscswiftcodes.com par click karna hoga, ya phir iska URL google me search karna hoga.
Next step me aapko website ke uper bane Menu Bar me IFSC Code par click karna hai.
Jaise ki aap uper dekh rahe hai. Aap is section me IFSC code se branch ka bhi pata laga sakte hai ki Ye IFSC Code kis branch ka hai.
Lekin hume toh yaha par IFSC Code ka pta lgana hai toh, next field me jakar aap in 4 field ko sahi se fill up kare.
Jaise ki humne is screen shot me dikhaya hai, humne apne sabhi field sahi se fill up ki hai.
Ab aap next step me dekh sakte hai ki, aapke samne aapke bank se related sabhi parkar ki jaankari flash ho gayi hai.
Is website ka faayda ye hai ki isme aapko na sirf IFSC Code ki jaankri hoti hai, balki aur bhi bhut se important jaanakri mil jaati hai.
Toh dekha aapne h na kitna asaan IFSC Code ko pata karna .
Agar aapko humara ye article pasand aaya ho toh aap isko apne friends aur relatives ke sath bhi share kar sakte ho, jisse unko bhi iska faayda mil sake.
Post a Comment
0 Comments